ek kashti mein baithi hu
door door tak pani hai
pani gehra hai bahut
tairna aata nahi
lehron ke shor se darr lagta hai
woh shant ha abhi
par pata nahi
kab shanti bhanng ho jaye
sab thehra hua sa lagta hai
waqt tham gaya hai
phir kuch dair mein hawaon ne rukh moda
lehron mein bechaini dikhane lagi
dari hui lehre idhar udhar dowdne lagi
phir hawaien apne zor par thi
apni taqat par magroor hawaein
lehron ko nocne lagi darane lagi
lehrein ghabrayi hui thi
par lacchar thi
hawaein phir chali
yeh silsila chalta raha
phir lehron ne socha
ki abb bahut ho chuka
abb aur nahi
kabhi nahi
abb hamari baari hai
hum kitne shaktishali hain
abb woh nazara dekho
woh badli
aisi badli
ki sab kuch badal gaya
woh ufaan bann karr aayi
aur apne saath sub kuch baha karr le gayi
gar koi chup hai to
ye nahi samjho ki
usme dam nahi hai
usme dum hain tabhi woh chup hai
ki shanti bani rahein
lehrein bhi bolti hai
suno sumjho unhe
nahi to usey koi nahi rok payega
mein kashti mein bethi sochti rehti
aur phir kinara aa gaya